Adam-khor insano ka aao atank mitana he,
kashmir keshar kyare se in dhabbo ko hatana he.
Ye dushman manavta ke khelte khooni holi,
beraham barsate hai nirdosho par goli,
beera jaago waqt aa gaya ,
inko sabak sikhana hai,
kashmir keshar kyare se in dhabbo ko mitana he..
kiya kathin jina sabka,,
be-ghar--bar kar daala...
kin janmo ka badla haay!
in jalimo ne nikala..
in armano ka dum
inko hme batana hai
kashmir keshar kyare se in dhabbo ko mitana he...
yeh dharti ka swarg hai ,
rahe dur darindo se.
madhuvan ujad na paaye kabhi ,
in ghatak parindo se..
pyare se is swaroop ko
aao hame bachana hai...
kashmir keshar kyaare se in dhabbo ko mitana hai...............